Mehboob-e-Khuda Nabiyon ke Sardar ke jaisa, Sarkar ke jaisa | Gulzar-e-Millat Naat Lyrics Kaunain mein us Moonis-o-Ghamkhwar ke jaisa Hai kaun bhala Ahmad-e-Mukhtar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Mehboob-e-Khuda Nabiyon ke Sardar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Hai kaun bhala Ahmad-e-Mukhtar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Kya is mein ajab kar diya Sidra ki maki'n, Jibril-e-A'mi ne Dekha na koi Saiyyed-e-Abrar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Siddique ho, farooq hon, Usman-e-Ghani hon ya Maula Ali hon Hai kaun yahan duniya mein in char ke jaisa, Sarkar ke jaisa Wo Maula Ali Sher-e-Khuda Fateh-e-Khaiber Damad-e-Payamber Laye to koi Haider-e-Karrar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Ae Chaand! Tera husn-o-jamal apni jagah hai, Bilal apni jagah hai Aaya na koi in ke kharidar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Ae Bagh-e-Iram! Teri baharon mein nahi hai, hazaron mein nahi Tayba ke haseen un gulo-gulzar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Palta hai sada aap ke tukdon pe zamana, Husnain ke nana! Darbar nahi aap ke darbar ke jaisa, Sark...
Mujh pe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna
Haq toh mera bhi hai rehmat ka taqaaza karna
Tu kisi ko Bhi uthata nahi apne dar se
Ke teri shaan ke shaaya nahi aisa karna
Ke teri shaan ke shaaya nahi aisa karna
Mujh pe bhi chashme karam......
Mai hu bekas ke tera shewa hai sahara dena
Mai hu beemaar tera kaam hai achcha karna
Mai hu beemaar tera kaam hai achcha karna
Mujh pe bhi chashme karam......
Mai ke zarra hu mujhe wus-ate sahara dede
Ke tere bas me hai katre ko bhi darya karna
Ke tere bas me hai katre ko bhi darya karna
Mujh pe bhi chashme karam......
Yeh tera kaam hai aye Aamina ke Durr e Yateem
Saari ummat ki shafa’at tanha tanha karna
Saari ummat ki shafa’at tanha tanha karna
Mujh pe bhi chashme karam......
Chaand ki tarha tere gird woh taaro ka hujoom
Woh tera halqaye ashaab me baitha karna
Woh tera halqaye ashaab me baitha karna
Mujh pe bhi chashme karam......
Mujh pe mehshar me "Naseer" unki nazar padh hi gayi
Kehne waale isse kehte hai Khuda ka karna
( Allah Ka Karna Esa hua ke, mujhpe unki nazar pad gai)
Kehne waale isse kehte hai Khuda ka karna
( Allah Ka Karna Esa hua ke, mujhpe unki nazar pad gai)
Mujh pe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna
Haq toh mera bhi hai rehmat ka taqaaza karna
Haq toh mera bhi hai rehmat ka taqaaza karna

Comments
Post a Comment