Mehboob-e-Khuda Nabiyon ke Sardar ke jaisa, Sarkar ke jaisa | Gulzar-e-Millat Naat Lyrics
Kaunain mein us Moonis-o-Ghamkhwar ke jaisa
Hai kaun bhala Ahmad-e-Mukhtar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Mehboob-e-Khuda Nabiyon ke Sardar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Hai kaun bhala Ahmad-e-Mukhtar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Kya is mein ajab kar diya Sidra ki maki'n, Jibril-e-A'mi ne
Dekha na koi Saiyyed-e-Abrar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Siddique ho, farooq hon, Usman-e-Ghani hon ya Maula Ali hon
Hai kaun yahan duniya mein in char ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Wo Maula Ali Sher-e-Khuda Fateh-e-Khaiber Damad-e-Payamber
Laye to koi Haider-e-Karrar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Ae Chaand! Tera husn-o-jamal apni jagah hai, Bilal apni jagah hai
Aaya na koi in ke kharidar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Ae Bagh-e-Iram! Teri baharon mein nahi hai, hazaron mein nahi
Tayba ke haseen un gulo-gulzar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Palta hai sada aap ke tukdon pe zamana, Husnain ke nana!
Darbar nahi aap ke darbar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Is U'rs ke moqey pe sama khub banha aaj, dulha hai bana taaj
Ye noor chamakta hai us Anwar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Ae Saqio! Daman-e-Niyazi zara bhar lo aur jholiyan bhar lo
Jhadta hai yahi phool chaman-zaar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
Gulzar! Koi aur haseen ho to batao, kahi ho to dikhao
Konain mein us Paikar-e-Anwar ke jaisa, Sarkar ke jaisa
शायर / लेखक: Saiyyed Shah Gulzar Ismail Wasti Qadri Ismaily Razzaqi (Gulzar-e-Millat)
नात-ख्वांव: Sahiyeed Abdul Wasi Qadri Rizvi
Comments
Post a Comment