Mehboob-e-Khuda Nabiyon ke Sardar ke jaisa, Sarkar ke jaisa | Gulzar-e-Millat Naat Lyrics Kaunain mein us Moonis-o-Ghamkhwar ke jaisa Hai kaun bhala Ahmad-e-Mukhtar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Mehboob-e-Khuda Nabiyon ke Sardar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Hai kaun bhala Ahmad-e-Mukhtar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Kya is mein ajab kar diya Sidra ki maki'n, Jibril-e-A'mi ne Dekha na koi Saiyyed-e-Abrar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Siddique ho, farooq hon, Usman-e-Ghani hon ya Maula Ali hon Hai kaun yahan duniya mein in char ke jaisa, Sarkar ke jaisa Wo Maula Ali Sher-e-Khuda Fateh-e-Khaiber Damad-e-Payamber Laye to koi Haider-e-Karrar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Ae Chaand! Tera husn-o-jamal apni jagah hai, Bilal apni jagah hai Aaya na koi in ke kharidar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Ae Bagh-e-Iram! Teri baharon mein nahi hai, hazaron mein nahi Tayba ke haseen un gulo-gulzar ke jaisa, Sarkar ke jaisa Palta hai sada aap ke tukdon pe zamana, Husnain ke nana! Darbar nahi aap ke darbar ke jaisa, Sark...
Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana...
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!
Itna to karam karna ay chashme karimana...
Jab jaan laboon par ho tum saamne aa jaana!!!
Jab jaan laboon par ho tum saamne aa jaana!!!
Ji chahta hai tohfe mein bhejun unhein ankhein...
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana!!!
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana!!!
Mein hosh o hawaas apne is baat pe kho betha...
Hans kar jo kaha tumne aaya mera deewaana!!!
Hans kar jo kaha tumne aaya mera deewaana!!!
Dunya mein hamein tumne jab apna banaya hai...
Mehshar mein bhi keh dena ye hai mera deewaana!!!
Mehshar mein bhi keh dena ye hai mera deewaana!!!
Kyun aankh milayi thi kyun aag lagai thi...
Ab rukh ko chupa bethe karke mujhe deewaana!!!
Ab rukh ko chupa bethe karke mujhe deewaana!!!
Peene ko pee lunga bas arz zara si hai...
Ajmer ka saaqi ho bagdaad ka maikhaana!!!
Ajmer ka saaqi ho bagdaad ka maikhaana!!!
Bedum meri qismat mein sajde hain usi dar ke...
Chuta hai na chute ga sang e dare janana!!!
Chuta hai na chute ga sang e dare janana!!!
Writer:- Be Dum Waarsi
Comments
Post a Comment